Class 9 Urdu Complete Guess Papers 2025
💥 Nawmii Class Urdu Mukammal Guess Paper Saal 2025
💥 Ahem Khulase✓
1- Hijrat-e-Nabwi ﷺ
2- Kaahli
3- Panchayat
4- Aaram o Sukoon
5- Qadr-e-Ayaaz💥 Markazi Khayaal ke liye Ahem Nazmein✓
1- Naat
2- Barsaat ki Bahaaren⭐ Ahem Khutoot ✓
1- Walid ke naam khat (Nateejay ki ittila ke liye)
2- Chacha ke naam khat (Kheriyat maloom karne ke liye)
3- Chhotay bhai ke naam khat (Parhai mein dilchaspi ke liye talqeen)
4- Chhoti behan ke naam khat (Imtihaan mein kaamyabi ke liye)
5- Bari behan ke naam khat (Tareekhi imaarat ki sair ke liye)
6- Dost ke naam khat (Udhaar di gayi raqam wapas maangne ke liye)💥 Ahem Kahaniyaan✓
1- Geedar ki Makkaari
2- Jis ka kaam usi ko saajay
3- Qaum ki khaatir eesaar
4- Jhoot ki sazaa
5- Sach ki barkat❣️ Ahem Mukalme✓
1- Mareez aur Tabeeb ke darmiyan
2- Ustaad aur Shagird ke darmiyan
3- Do hum jamaaton ke darmiyan
4- Gahak aur Dukandaar ke darmiyan🌟 Ahem Darkhwastein✓
1- Muhalle ki safai ke mutaliq
2- Husoole certificate ke liye
3- Mazameen ki tabdili ke liye💥 Paragraph ki Tashreeh ke liye Ahem Asbaaq✓
Sabaq number:
1, 3, 5, 7, 9, 10 & 11💥 Ahem Nazmein✓
Hamd (She’r number):
2, 3 & 5
Naat (She’r number):
2, 3 & 6
Barsaat ki Bahaaren (She’r number):
3, 4 & 5
Allama Iqbal ki Nazm (She’r number):
2, 4, 5 & 6💥 Ahem Ghazlein✓
Meer Taqi Meer (She’r number):
3, 4 & 6
Khawaja Haider Ali Aatish (She’r number):
2, 5 & 6
Mirza Ghalib (She’r number):
4, 5 & 6
Bahadur Shah Zafar (She’r number):
2, 3, 4 & 6Important Note:
Mohtaram Students,
Umeed hai aap khairiyat se honge aur Urdu ki tayari mein khoob magan honge.
Mohtaram students, aap bakhubi jaante hain ke Urdu ka paper bohat zyada lengthy hota hai aur bohat se bachon ka paper adhoora reh jaata hai.
Lihaza tamam students se guzarish hai ke Urdu ke paper mein saadah ghari apne saath zaroor le jaayen aur darj-e-zail tarteeb se paper hal karein. Ghair zaroori baaton se guraiz karein. InshaAllah muqarrar waqt mein sukoon se paper mukammal ho jaayega.
—
Urdu Paper Mein Sawalaat Hal Karne Ki Behtareen Tarteeb Aur Waqt Ki Taqseem
1: (Sawal Number 4)
Sawalaat ke Mukhtasir Jawabat
(Kul waqt: 10 se 12 minute)
Note: 8 sawalaat mein se 5 karne hotay hain, lekin koshish karein jitne zyada ho sakein.
2: (Sawal Number 6)
Nazm ka Markazi Khayaal ya Khulasa
(Kul waqt: 5 minute)
Note: Sirf chaar nazmein hain, is liye tamam ke markazi khayaal ya khulase yaad karein. Shaair ka naam bhi zaroor likhein, kyun ke iska باقاعدہ 1 number hota hai.
3: (Sawal Number 9)
Jumlon ki Takmeel ya Jumlon ki Durusti
(Kul waqt: 5 minute)
Note: Koshish karein ke jinki speed achi hai woh dono hisay likhein, warna aik to likhna hi hota hai.
4: (Sawal Number 7)
Khat ya Darkhwast
(Kul waqt: 10 minute)
5: (Sawal Number 3)
Nasr Paron ki Tashreeh
(Kul waqt: 25 minute)
Note: Do nasr paron ki tashreeh likhni hoti hai. Tashreeh mein sabaq ka unwaan, musannif ka naam aur khat-kasida alfaaz ke maani zaroor likhein. Har nasr paray mein 3 number hotay hain. Baqi do-do number ki tashreeh hoti hai. Tashreeh siyaaq o sabaaq se likhein aur koshish karein ke 15 se 20 lines ki ho.
6: (Sawal Number 8)
Kahani ya Mukalma
(Kul waqt: 15 minute)
Note: Kahani ke aakhir mein ikhlaqi sabaq zaroor likhein. Mukalme ke shuru mein manzar-nama aur aakhir mein ikhtitaam bhi zaroor likhein.
7: (Sawal Number 5)
Khulasa
(Kul waqt: 15 minute)
Note: Khulasa sabaq ka aik tehai hota hai, jo ke chapters ki length ke hisaab se derh se dhai safhon par aayega.
8: (Sawal Number 2)
Ashaar ki Tashreeh
(Kul waqt: 35 minute)
Note: 8 mein se 5 ashaar ki tashreeh likhni hoti hai. 3 hisa nazm mein se aur 2 hisa ghazal mein se. Har she’r ki tashreeh 12 se 15 lines ki honi chahiye aur har she’r ki tashreeh mein kam az kam 2 quotations bhi likhein.
—
Yeh taqreeban 120 minutes ho jaate hain.
Baqi ke 10 minutes mein paper dobara parhein, headings ko underline karein aur har sawal ke baad aik double line lagaayein taake wazeh taur par pata chale ke yahan sawal khatam ho gaya hai.
Isi tarah sawalaat ki tarteeb bhi harf-e-aakhir nahi, balke jo sawalaat zyada achhe aate hon unke hisaab se tarteeb aagay pichay bhi kar sakte hain.
Allah Ta’ala aap ka haami o naasir ho. Ameen.